Mere pyaare bharatvasiyon,
Corona se vichlit sahasiyon,
Jub jub chiniyon ne khaaya hai chipkali aur saanp,
Duniya ka nikal jaataa tha
pishaab,
Iss bar chamgadhad khaakar kiya hadh paar,
Kya cheen mein nahi milta aloo,
gobi ya jawaar?
Cheen ne amrican sipahiyon pe utaya ungli,
Virus ko cheeni kehkar amrica ne
bajaya pungi,
Europe mein mach gaya covid ka kohraam,
Dhuvayein de rahi hai vishva ke
aavaam,
Iss beech bharat mein hua bhay ka prahaar,
Netaon ne shuru kari comedy
circus ka prachar,
Koi bleaching powder ka kare raag milaap,
To paracetamol ka upay tha dimaag
ka julaab,
Chaar feet ke doori se maape taapmaan,
Aise afsaron ko ikkis topon ka
salaam,
Vilayat se aaye quarantined logon ka maslaa,
Doosre din baahar and chauk utha
poora mohalla,
Sarkar ke tatparta se nahi mile adhik aashvaasan,
Sustee, dheelappan, nishkriyta
mein kahaan hai parivartan,
Ye desh bhagwan bharose chalta hai, aage bhi chalega,
Iss katin ghadi mein Parmeshwar
hi naiyya paar karega.