Saturday, 28 March 2020

Covid ka Silsila


Mere pyaare bharatvasiyon,
Corona se vichlit sahasiyon,
Jub jub chiniyon ne khaaya hai chipkali aur saanp,
Duniya ka nikal jaataa tha pishaab,
Iss bar chamgadhad khaakar kiya hadh paar,
Kya cheen mein nahi milta aloo, gobi ya jawaar?
Cheen ne amrican sipahiyon pe utaya ungli,
Virus ko cheeni kehkar amrica ne bajaya pungi,
Europe mein mach gaya covid ka kohraam,
Dhuvayein de rahi hai vishva ke aavaam,
Iss beech bharat mein hua bhay ka prahaar,
Netaon ne shuru kari comedy circus ka prachar,
Koi bleaching powder ka kare raag milaap,
To paracetamol ka upay tha dimaag ka julaab,
Chaar feet ke doori se maape taapmaan,
Aise afsaron ko ikkis topon ka salaam,
Vilayat se aaye quarantined logon ka maslaa,
Doosre din baahar and chauk utha poora mohalla,
Sarkar ke tatparta se nahi mile adhik aashvaasan,
Sustee, dheelappan, nishkriyta mein kahaan hai parivartan,
Ye desh bhagwan bharose chalta hai, aage bhi chalega,
Iss katin ghadi mein Parmeshwar hi naiyya paar karega.


No comments:

Post a Comment

Comics

https://Pixton.com/ics:svk34vk5