Mai hoon ek masoom sa baal-brahmachari
naariyon se rakta hoon sau mile ki doori
har pal karta hoon uss Divy(a) ki vandana
umeed hai log samaj paaye meri Bhavana
mere rom rom mein bhasi hai Bhakti
Pooja hi hai meri sabse badi shakti
Shraddha mere dil mein hai virajman
Tubi meri Kavita sung hai har dauraan
jeevan mein honi chahiye ek Neeti
tub har cheez mein dikhegi Preeti /* preeti -> affection/love */
Sneh(a) ki upastiti chamka de apni vidhi /* sneh(a) -> affection/love */
santushti se haasil hogi sabse anmol Nid hi
jub jeevan bitaun Suruchi ke saath /* suruchi -> great delight/elegance */
tub jaake hogi Dhanny(a) prapt /* dhanny(a) -> bliss */
Seema ke dayare mein paaun ashvaasan /* ashvaasan -> relief */
koi nahi bacha jub Maya kare shaasan /* shaasan -> dominate/rule */
Shalini kabhi saath na chode safalta mein /* shalini -> modesty */
aur Shaanti sada basi rahe mann mein
issi rahasya ka hal mile Archana se /* archana -> worship */
roz Karishma ki aas jage mere dil se
mujhe hai bus Roshani ki talaash
vo Kiran jo mere andhkar ka karre vinash
uss Ankita ka mujhe hai khoj /* ankita -> distinguished; marked by lord */
jo meri Sadhana pe barsaye Saroj /* saroj -> lotus */
Prakriti se karta hoon mai pyar
uski khoobsurat Nisha laaye bahaar
Sheetal Sarita ki paawanta jub chehre ko kare sparsh /* sarita -> river; paawanta -> purity */
Jhilmilati hui Tanu Palak kar deti mujhe vivash /* tanu -> delicate/slender */
Saare bhuvan mein Nikita ki anchal mei paun sukoon /* nikita -> earth; vishisht -> distinct */
Amruta ke darshan se janmon ki tapasya huey sampoorna /* amruta -> one who is immortal */
Rishta kitna bhi jode, subse anokhi hai Mitali /* mitali -> friendship */
Kainaat mein Priyank(a) hai hriday ko choone vali /* priyank(a) -> loving act */
gyan ki dipti dagmagati hai din aur raat /* dipti -> light, generally from wick */
Vidya ka pravesh iss chanchalta ko karre samaapt /* chanchalta -> unstable */
Bodh ki Jyoti jub vistar hoye jeevan mein /* vistar -> enhance/expand; Bodh -> like Budha */
tub Nutan vichar ute mere mann mein /* nutan -> new, fresh */
ab yakeen hai,
ki amar hokar hi milegi Trupti
meri manzil hai paani Mukti
ek din haasil hogi meri Tamanna
issi Asha ko prapt karna hai mera Sapna
No comments:
Post a Comment