Humne jeevan mein bade bade sapne the
sajaye
sapno mein khushiyon ke moti the samaye
inn khushiyon pe lag gayi kisi ki buri nazar
ab ye sapne mehkane mein chakne ke kaam aaye
mann mera ek doobti hui kashti
aandhi aur toofan se ujdi hui basti
jub dil aur dimag mein bavander (cyclone) umad aaye
tub mann-samadhan mehkane mein chakne ke kaam aaye
hatash manushya se poocho kya hai ek pal ka josh
hara hua ashiq jaane kise kehte hain hona madhosh
jub ashanti aur nirasha jeevan ke do pehlu ban jaaye
tub josh aur chain mehkane mein chakne ke kaam aaye
kismat ne aisa thappad lagaya
ki dil kayi dino tak duggmagaya
jub takdeer sahaj (innate) shradha ko ghutna tikaaye
to vishwas mehkane mein chakne ke kaam aaye
Sitaron ne racha aisa shadiyantra
vifalta ke changul mein hua partantra
jub paristiti insaan ko halaat ke bandhi banaye
to azadi mehkane mein chakne ke kaam aaye
parikshram ka fal meetha hota hai
anjaam bigad jaye to dokha lagta hai
agar insaan ki kismat murja jaye
to mehnat mehkane mein chakne ke kaam aaye
kaun hai, jo nahi apnaana chahe imandari
agar safalta kaptiyon ka na kare tarafdari
par jub chor uchakke taraki pe taraki paye
tub sharafat mehkane pe chakne ke kaam aaye
No comments:
Post a Comment